na daulat, na shohrat|
bas kuch hasrate chahiye||
na sajawat na banawat|
bas sadagi chahiye||
bas sadagi chahiye||
na jang, na takrar|
bas himmat chahiye
iss duniya mein hume insaan chahiye...
bhautik vigyaan ka jaal nahi|
vibhinn bhashaon ka abhiman nahi,
humein sanskarik kala chahiye
||
bahurashtriya sansthaan nahi|
sangmarmar ke makan nahi
humein sukhi parivar chahiye||
iss duniya mein hume insaan chahiye...
na top , na talwar
na seemayein , na senayein
humein prasparik prem chahiye
na jaat , na paat
na bhavishya, na itihaas.
vartamaan mein humein insaan chahiye....
3 comments:
u wrote it?? nice !!
yes Surabhi :-) thanks
Post a Comment