Saturday, September 15, 2012

Javed Ke Naam.. Poem by Allama Iqbal

The lines were written by Allama Iqbal to his Son, who was studying in London. Love the words...

(Bal-e-Jibril-151) Javed Ke Naam

(London Mein Uss Ke Hath Ka Likha Huwa Pehla Khat Ane Par)

Diyar-e-Ishq Mein Apna Maqam Paida Kar
Naya Zamana, Naye Subah-o-Sham Paida Kar

Khuda Agar Dil-e-Fitrat Shanas De Tujh Ko
Sakoot-e-Lala-o-Gul Se Kalaam Paida Kar

Utha Na Sheesha Garan-e-Farang Ke Ehsan
Sifal-e-Hind Se Meena-o-Jaam Paida Kar

Main Shakh-e-Taak Hun, Meri Ghazal Hai Mera Samar
Mere Samar Se Mai-e-Lala Faam Paida Kar

Mera Tareeq Ameeri Nahin, Fakeeri Hai
Khudi Na Baich, Ghareebi Mein Naam Paida Kar!

Khudi ko kar buland itna

By Allama Iqbbal

Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai

Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai

Sitaron se age jahan aur bhi hai aur bhi hai
Abhi ishq ke Imtehan aur bhi hai aur bhi hai
Sitaron se age jahan aur bhi hai aur bhi hai
Abhi ishq ke Imtehan aur bhi hai aur bhi hai

Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai

Tu shaheen hai, Tu shaheen hai, Tu shaheen hai
Tu shaheen hai, Tu shaheen hai Parvaz hai kam tera kam tera
Tere samne Aasman aur bhi hai
Tu shaheen he Basera kar Paharon ki chatano per
Tu shaheen hai tu Shaheen hai tu shaheen hai

Khudi ko kar buland itna ke har taqder se pehle
Khuda bande se ye poche bata teri raza kia hai





1 comment: